Ek Din Achanak Part 27
Kaafi der tak Pawan lift ke liye try karta raha lekin koi safalta haath nahin lagi. Idhar khoon jyada nikal jaane se Ravi par behoshi si chane lagi thi. Lekin kehte hain na Jahan chah, wahan Raah. Bas Pawan ko ek brand new maruti car aati dikhayi di jismein ek smart as ladka ek khubsoorat si ladki ke saath baatein karta huya chala aa raha tha. Pawan ne use haath diya to usne gaadi rok li.
Pawan ne use sab baatein batayi aur hamari help karne ke liye bola. Ladki ne kaha “Tum kahan in chakkar mein pad rahe ho. Shayad koi police case hai. Police aayegi aur inhein hospital le jayegi. Tum bewajah in chakkaron mein mat pado. Yaad nahin uncle ne kitna jaroori kaam bataya hai tumhe”
Us ladke ko shayad ladki ki baat achhi nahin lagi. Usne kaha “Tum bhool gayi ki ek baar mera bhi aise hi accident huya tha. Ek bhale aadmi ne mujhe bhi hospital pahunchaya tha. Us samay agar wo bhi aise hi sochta to shayad aaj main jinda nahin hota. Tumse aisi ummed nahin thi. Utaro gaadi se aur ye paise lo. Taxi karke ghar chali jaana.”
“Darling tum to bura maan gaye. Main to isliye bol rahi thi ki uncle ne jo jaroori kaam bataya hai wo late na ho jaye.”
“Main kuch sunna nahin chahta. Main manage kar lunga. Tum jao yahan se”. Wo ladki badbadate huye wahan se chali gayi aur wo ladka Ravi ke paas aaya. Tab tak Ravi behosh ho chuka tha. Pawan aur us ladke dono ne milkar Ravi ko gaadi mein dala aur hospital le gaye.
Is beech Pawan ne apne ek dost ko phone karke bike wahan se hata kar mechanic ke paas dalne ko de di. Ravi ko hospital mein laakar Emergency ward mein shift kiya gaya. Halanki chot jyada nahin aayi thi lekin khoon nikal jaane se kamjori ho gayi thi jis wajah se Ravi behosh ho gaya tha.
Doctors ne ek khoon ki bottle aur do glucose ki bottle Ravi ko chada di. In sabka kharcha bhi us ladke ne hi kiya. Pawan to use dekhkar hairan tha ki koi ajnabi itna helpful bhi ho sakta hai lekin fir use yaad aaya ki kisi ne us ladke ki madad bhi aise hi ki thi jiski wajah se wo khushi khushi ye sab kar raha hai. Shayad isi bahane wo uske ehsaan ka bojh utar raha ho.
Dono kamre mein Ravi ke bagal mein baithe huye the. Wahan aur bed par doosre kai patients the. Kisi ko koi problem thi to kisi ko koi. Us ladke se sabki takleefen dekhi nahin gayi aur wo uthkar bahar aa gaya. Pawan ne dekha to wo bhi uthkar uske paas chala gaya. Us ladke ne Pawan ko dekhkar kaha “Dost ye jindagi bhi kitna ajeeb khel khelti hai. Jise mein jaanta tak nahin aaj uske liye bhagwan se prathna kar raha hoon ki wo jaldi se theek ho jaye.
Pata nahin lagta hai jaise usse mera ek atoot rishta ho. Kya pata pichle janam ka koi relation ho”
Pawan ka dil bhar aaya uski baatein sunkar aur usne us ladke ko gale lagakar kaha “Dost, tumne jo ehsaan hum par kiya hai hum use kabhi nahin bhulenge. Sorry hamari wajah se aapki dost se aapki khatpat ho gayi aur wo naraz ho kar chali gayi.”
Wo ladka ye sunkar hasne laga aur bola “Are wo, wo to bas ek time paas thi. Main ladkiyon ko kabhi serious nahin leta. Bas saath ghume fire, mauj masti ki aur wo apne raaste main apne raaste.
Mera usse koi nata nahin hai. Pyaar vyaar sab ek dhong hai. I don’t belive in all that rubbish things”
Pawan to uski baatein sunkar shocked ho gaya ki kuch log pyaar ki pavitrata ko kitne galat najariye se dekhte hain. Pawan ne kaha “No friend, love is the most precious thing that we gain in our life. It happens only once in our life and fills our life with Joy, happiness and blossom”
Wo ladka has pada aur bola “Ok Bro, we will discuss later on about that”
Pawan ne bhi is baare mein baat karna theek nahin samjha aur us ladke se kaha “Kabhi hamari jaroorat pade to bejhijhak humein yaad kar lena. Hum ABC college mein hain.”
Ab chaunkne ki baari us ladke ki thi. Usne kaha “Main bhi usi college mein hoon. Aur maine isi saal BA mein admission liya hai”
Pawan khus ho gaya aur bola “To ham sabki manjil ek hi hai. Hum dono ne bhi BA mein admission liya hai. Kal aapko dekha nahin tha college mein”
“Haan yaar wo ghar par ek jaroori kaam aa gaya tha isliye rukna pada”
“Waise aapka naam kya hai aur jo dost jakhmi pada hai uska naam kya hai”
“Mera naam Pawan hai aur mere dost ka naam Ravi hai. Aapka kya naam hai”
“Mera naam” Abhi wo ladka itna hi bol paya tha ki Ravi ki awaaz aayi “Pawannnn” Shayad Ravi ko hosh aa gaya tha. Pawan Excuse me bolkar daudhte huye Ravi ke paas aa gaya. Pawan ki khushi ka thikana nahin tha.
Idhar us ladke ke phone par uske papa ka phone aaya aur unhone jo kaam use diya tha uske baare mein poocha. Us ladke ne bata diya ki wo kahan hai aur turant nikal kar kaam poora karne ke liye bola. Lekin uske paas samay kam tha. Ab agar wo dono se milta ko kaafi nuksaan ho jaata uske papa ka jo theek nahin tha. Paise ke saath saath uske papa ki ijjat bhi daanv par lagi huyi thi. Isliye wo turant counter par gaya aur baaki ke paise jama kiye aur nikal gaya hospital se apne kaam ke liye.
Idhar Pawan ne sab baatein Ravi ko batayi to Ravi bahut icchuk ho gaya us ladke se milne ke liye. Pawan ne kaha wo bahar khada hai. Main abhi use bulake laata hoon. Itna kehkar Pawan bahar aaya to use wo ladka kahin dikhayi nahin diya. Pawan ne use chaaron taraf dekha lekin wo milta to tab jab wo wahan hota. Jab wo nahin mila to Pawan wapas Ravi ke paas aa gaya aur bola “Yaar shayad wo chala gaya hai. Bahut nek dil banda tha.”
Itne mein nurse aayi aur syringe wagairah nikalne lagi. Pawan ne poocha ki aur kab tak hospital mein rukna padega to nurse ne bataya ki bas ek injection aur lagana hai fir aap jaa sakte hain.
Nurse ne pain killer injection diya aur dawai ka parcha pakda diya jo bahar se kharidni thi. Dono wahan se nikalkar counter par pahunche to unhen pata chala ki unka bill to paid ho chuka hai. Wo dono ek doosre ka chehra dekhne lage aur baar baar us ladke ko dhanyawaad dene lage. Dono ne soch liya tha ki kal us ladke se mulakat jaroor karenge.
Dono ghar aaye to ghar par kaafi daant sunni padi dono ko. Bike tootne se jyada daant chot lagne aur lagne ke baad ghar par na batane ke liye jyada padi. Khair do din ke liye college jane ki chutti ho gayi. Ab Ravi nahin gaya to Pawan bhi nahin gaya. Lekin is baar Ravi ne use nahin jaane diya kyunki poora poora din wo bistar par pada bore hota rehta. Pawan saath rahega to baatein hoti rahengi aur samay katta rahega. Khair chot jyada nahin thi to jaldi hi theek ho gayi. Lekin bike milni band ho gayi chalane ke liye. Dono ko ab paidal ya bus se hi jaana tha aage se college.
Khair jaise taise karke do din gujar gaye lekin do din dono ne kaise ghar par bore hokar gujare ye dono hi jaante the. Teesra din to unhen katai gawara nahin tha ghar par rukne ke liye. Subah hi tayyar ho gaye college ke liye. Bike milni nahin thi to bus se jaane ke liye thoda jaldi hi nikal gaye ghar se. Wahan bus stop par jaakar unhone bus pakdi aur pahunch gaye college. College pahunch kar dono class mein gaye to wahan Jay se mulakat huyi. Usne do din na aane ka karan poocha to Pawan ne bata diya. Jay ne phir Ravi se haal chaal poocha lekin Ravi ki nigaahein to us ladke ko dhoondhne mein lagi thi jisne use help ki thi. Usne Pawan se poocha ki wo ladka class mein hai to Pawan ne mana kar diya.
Fir dono lecture khatam hone ke baad class se bahar aa gaye aur unhone us ladke ko kai jagah dhoondha lekin wo unhen kahin nahin mila. Dono jaakar canteen mein baith gaye. Jay unke saath isliye nahin aaya kyunki wo class miss nahin karna chahta tha aur in dono ne bhi use disturb karna theek nahin samjha kyunki is samay to us ladke ko dhoondhna inke liye jyada important tha.
Canteen mein sab ladke ladkiyan group mein baithe the. Koi kha- pee raha tha, koi gossip kar raha tha, kuch ladkiyan aapas mein aate jate ladkon ke upar tippani kar rahi thi to kuch ladkiyan apne saaj-sringar ko lekar jaagruk pratit ho rahi thi. Kul milakar shor gul ka sa mahaul tha. Lekin wahin ek kone mein ek ladka ek sunder si ladki ke saath baatein kar raha tha. Jise dekhte hi Pawan ne pehchaan liya ki ye wahi ladka hai. Usne Ravi ko bata diya to Ravi ne filhaal use disturb karna theek nahin samjha aur baad mein milne ke liye socha.
Dono wahan se nikal gaye aur wapas class mein aa gaye. Wahan Jay ne poocha ki kahan gaye the to unhone bata diya ki us ladke ko dhoondhne gaye the. Jay ne poocha ki wo mila kya to unhone bata diya ki haan mila is samay ek ladki ke saath hai canteen mein.
Humne use disturb karna theek nahin samjha isliye wapas aa gaye.
Jay ne kaha “Bhai ye college hai, yahan aise halat roz hi rahenge. Chal milte hain usse. Main bhi to dekhun ki aaj ke jamane mein aisi madad karne wala khule dil ka ladka kaun hai”
Teeno chal diye canteen ki taraf. Ittefaq se wo ladka abhi bhi wahin tha. Ravi ne use ishare se bata diya us ladke ke baare mein. Jay use dekhkar chaunk gaya.
To be continued..
Kareem
13-Jan-2022 08:31 PM
Nice
Reply
Seema Priyadarshini sahay
21-Nov-2021 11:43 PM
Nice
Reply
Swati chourasia
12-Oct-2021 07:35 PM
Very beautiful 👌
Reply